Aapka catalogue aur khata, customer ke phone mein.
SahiKapda textile vyapariyon ke liye ek private app hai. Shade card, prints aur hisaab, sab ek jagah.
Aage dekhne ke liye swipe kijiyeMGMahesh Garments

Aapki dukaan ke naam ka app.
Jaise Mahesh Garments ka apna app. Upar aapka naam, aapka number. Login sirf unhe jinhe aap PIN dein.

Customer colour tick kare, WhatsApp par bhej de.
Shade card ka PDF daaliye. Customer pasand ke colour par tap kare aur photo seedha aapke WhatsApp par aaye.

Naye print, sabko ek saath dikhe.
Print ki photo upload kijiye. Customer design select kare aur aapko bhej de.

Hisaab saaf. Baaki kitna hai, dono ko pata.
Bill aur payment daaliye. Customer apna khata khud dekhe. Statement WhatsApp par jaye.

Kaun sa customer kya dekh raha hai, sab pata.
Kisne kaun sa kapda kitni der dekha, kab app khola. Sahi customer ko sahi time par call kijiye.

Naya maal aaya? Sabke phone par khabar.
App se notification bhejiye, sabko ya chune hue customers ko.

Shuru karna aasaan hai.
- 1Neeche hare button se WhatsApp par message kijiye.
- 2Apne phone par demo dekhiye.
- 3Apni dukaan ke naam ka app shuru kijiye.
₹2,999/month se shuruAaj hi sampark kare
Screens mein dikhaye gaye naam, customers aur hisaab sirf example hain.